Lahad Me Ishq e Rukhe Shah Ka Daagh Le Ke Chale Naat Lyrics | Owais Raza Qadri

Lahad Me Ishq e Rukhe Shah Ka Daagh Le Ke Chale, Naat Lyrics in Hindi and English
Lahad Me Ishq e Rukhe Shah Ka Daagh Le Ke Chale

Lahad Me Ishq e Rukhe Shah Ka Daagh Le Ke Chale Naat Lyrics is written by Shayar e Islam Huzoor Ala Hazrat Imam Ahmed Raza Khan and represented by Sanakhwan e Mustafa Owais Raza Qadri. These types of lyrics belongs to Naat Lyrics, Naat Sharif Lyrics, Naat Lyrics in English, Naat Lyrics in Hindi.


Lahad Me Ishq e Rukhe Shah Ka Daagh Le Ke Chale Naat Lyrics In Hindi

लह़द में इ़श्क़-ए-रुख़-ए-शह का दाग़ ले के चले
अंधेरी रात सुनी थी चिराग़ ले के चले।

तेरे ग़ुलामों का नक़्श-ए-क़दम है राह-ए-ख़ुदा
वोह क्या बहक सके जो येह सुराग़ ले के चले।

जिनां बनेगी मुह़िब्बाने चार यार की क़ब्र
जो अपने सीने में येह चार बाग़ ले के चले।

गए, ज़ियारत-ए-दर की, सद आह ! वापस आए
नज़र के अश्क पुछे दिल का दाग़ ले के चले।

मदीना जान-ए-जिनान-ओ-जहां है वोह सुन लें
जिन्हें जुनून-ए-जिनां सू-ए-ज़ाग़ ले के चले।

तेरे सह़ाबे सुख़न से न नम कि नम से भी कम
बलीग़ बहरे बलाग़त बलाग़ ले के चले।

हुज़ूर-ए-त़यबा से भी कोई काम बढ़ कर है
कि झूटे ह़ील-ए-मक्र-ओ-फ़राग़ ले के चले।

तुम्हारे वस्फ़-ए-जमाल-ओ-कमाल में जिब्रील
मुह़ाल है कि मजाल-ओ-मसाग़ ले के चले।

गिला नहीं है मुरीद-ए-रशीद-ए-शैत़ां से
कि उस के वुस्अ़त-ए-इ़ल्मी का लाग़ ले के चले।

हर एक अपने बड़े की बड़ाई करता है
हर एक मुग़्बचा मुग़ का अयाग़ ले के चले।

मगर ख़ुदा पे जो धब्बा दरोग़ का थोपा
येह किस लई़ं की ग़ुलामी का दाग़ ले के चले।

वुक़ू-ए़-किज़्ब के मा’नी दुरुस्त और क़ुद्दूस
हिये की फूटे अ़जब सब्ज़ बाग़ ले के चले।

जहां में कोई भी काफ़िर सा काफ़िर ऐसा है
कि अपने रब पे सफ़ाहत का दाग़ ले के चले।

पड़ी है अन्धे को अ़ादत कि शोरबे ही से खाए
बटेर हाथ न आई तो ज़ाग़ लेके चले।

ख़बीस बहरे ख़बीसा ख़बीसा बहरे ख़बीस
कि साथ जिन्स को बाज़ो कुलाग़ ले के चले।

जो दीन कव्वों को दे बैठे उन को यक्सां है
कुलाग़ ले के चले या उलाग़ ले के चले।

रज़ा किसी सग-ए-त़यबा के पाउं भी चूमे
तुम और आह कि इतना दिमाग़ ले के चले।



Lahad Me Ishq e Rukhe Shah Ka Daagh Le Ke Chale Naat Lyrics in English

Lahad Me Ishq_e_Rukh_e_Shah Ka Daag Ke Ke Chale,
Andheri Raat Suni Thi Charaag 🕯️ Le Ke Chale.

Tere Gulamo Ka Naqshe Qadam Hai Raah_e_Khuda,
Wo Kya Bahak Sake Jo Ye Suraag Le Ke Chale.

Jinaa Banegi Muhibbane Chaar Yaar Ki Qabr,
Jo Apne Sine Me Ye Chaar Daag Le Ke Chale.

Gaye, Ziyarat_e_Dar Ki, Sad Aah Waapas Aaye,
Nazar Ke Ashq Ke Puchhe Dil Ka Daag Le Ke Chale.

Madina Jaane Jinaano Jahaañ Hai Wo Sun Le,
Jinhe Junoone Jinaa Suye Zaag Le Ke Chale.

Tere Sahaab_e_Sukhan Se Na Nam Ki Nam Se Bhi Kham,
Baleeg Bahre Balaagat Balaag Le Ke Chale.

Huzoor_e_Taiba Se Bhi Koi Kaam Badh Kar Hai.
Ke Jhute Hilaye Makro Faraag Le Ke Chale.

Tumhare Wasf_e_Jamaale Kamaal Me Jibril,
Muhaal Hai Ki Majaalo Masaag Le Ke Chale.

Gila Nahi Hai Muride Rashide Shaitan Se,
Ke Uske Wus-ate Ilmi Ka Laag Le Ke Chale.

Har Ek Apne Bade Ki Badaayi Karta Hai,
Har Ek Mugbacha Mug Ka Ayaag Le Ke Chale.

Magar Khuda Pe Jo Dhabba Darog Ka Thopa,
Ye Kis Laeeñ Ki Gulami Ka Daag Le Ke Chale.

Wuqooi Kizb Ke Maani Durust Aur Qudus,
Hiye Ki Foote Ajab Sabz Baag Le Ke Chale.

Jahaañ Me Koi Bhi Kaafir Sa Kaafir Aisa Hai,
Ki Apne Rab Pe Safaahat Ka Daag Le Ke Chale.

Pade Hai Andhe Ko Aadat Ko Shorbe Se Khaaye,
Bater Haath Na Aayi To Zaag Le Ke Chale.

Khabees Bahre Khabeesa Khabeesa Bahre Khabees,
Ki Saath Jins Ko Baazo Kulaag Le Ke Chale.

Jo Deen Kawwo Ko De Baithe Unko Yaksa Hai,
Kulaag Le Ke Chale Ya Ulaag Le Ke Chale.

Raza Kisi Sage Taiba Ki Paauñ Bhi Chume,
Tum Aur Aah Ki Itna Dimaag Le Ke Chale.


Lahad Me Ishq e Rukhe Shah Ka Daagh Le Ke Chale Naat Video



*

Post a Comment (0)
Previous Post Next Post
WhatsApp Channel Join Now
Telegram Channel Join Now